Kanz e Aza

Char Baras Waali

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

ay baba maaf karna ay baba maaf karna


qabr mein rakh ke sakina ko ye abid ne kaha

baba ye chaar baras waali amanat lijiye


shimr ke durron se mai isko bacha bhi na saka

baba ye chaar baras waali amanat lijiye


laash aahista se beti ki sambhalo baba

godh mein leke kaleje se laga lo baba

aap ke pyaar ko tarsi hai bahot ye dukhiya

baba ye chaar baras...


baba gaalon pe tamachon ke nishan mat dekho

halq e majrooh pe rassi ke ke nishan mat dekho

ye tahaif isay ummat ne diye hai baba

baba ye chaar baras...


yaad kar kar ke tumhe baba bahot royi hai

saal bhar baad kahin jaake ye ab soyi hai

chaunk jaaye na kahin dil se laga lo baba

baba ye chaar baras...


jaane kis tarha se tha jism se chipka baba

mujhse utra nahi ye khoon bhara kurta baba

khaal bhi saath utarti thi jo karte thay juda

baba ye chaar baras...


har tamache pe mujhe is ne pukara baba

mai tha zanjeeron mein aur tauq mein jakda baba

dekh kar reh gayi hasrat se ye mera chehra

baba ye chaar baras...


mai amanat ki hifazat nahi kar paaya hoon

poori mai ek bhi chaahat nahi kar paaya hoon

jaisi saumpi thi amanat mai wh lauta na saka

baba ye chaar baras...


laash khwahar ki uthaun to uthaun kaise

is ke marne ka sabab haye bataun kaise

kuch samjh mein nahi aata hai sunaun kya kya

baba ye chaar baras...


haye do haat baramad huwe aamir us dam

ainee rone ki sada qabr se aayi paiham

haat par rakh diya ye kehke behen ka laasha

baba ye chaar baras...