pyase qaimon may musalsal hai fughan ay dariya
tune ghazi ko chupaya hai kahan ay dariya
kitni hasrat se takay jaate hai sheh ko abbas
jab se goonji ali akbar ki azan ay dariya
tune ghazi ko chupaya…
pyase qaimon may…
mashk par teer jo aaya to ye mehsoos hua
jaise seene may utar aayi sina ay dariya
tune ghazi ko chupaya…
pyase qaimon may…
haath katne pa bhi abbas kay tayvar hai wohi
shaah bach jaye chali jaye ye jaan ay dariya
tune ghazi ko chupaya…
pyase qaimon may…
jaane kabse dar-e-qaima pa khade hai bache
sukhe honton pa rakhi khushk zaban ay dariya
tune ghazi ko chupaya…
pyase qaimon may…
noke naiza se utaari gayi zainab ki rida
sogaya khaak pa jab sher-e-jawan ay dariya
tune ghazi ko chupaya…
pyase qaimon may…
tere saahil pa kabhi shaah ke maqtal may kabhi
roti phirti hai musalsal koi maa ay dariya
tune ghazi ko chupaya…
pyase qaimon may…
haye juz sham e ghariban nahi koi shahid
roke kehta hai ye qaimo ka dhuan ay dariya
tune ghazi ko chupaya…
pyase qaimon may…