karbala karbala
roz azadaron ke hum khaafile
dekhte hai karbala jaate huwe
hum ko bhi sarkar bula lijiye
bula lijiye bula lijiye
sab ki sada karbala
sab ki dua karbala
poocho azadaron se to sab ye kahenge
bas maula bulalein
sun lein sadayein
hum ko dikhayein karbobala
kaash hamein hazrat e abbas bulayein
karbobala ka hamein deedar karadein
hussain ya hussain
karbobala jaan e azadaar hai
karbobala ishq ka darbar hai
karbobala jannat e zawwar hai
saara jahan jis ka talabgaar hai
karbobala jaan hai
sab ka ye armaan hai
rauza e shabbir pe sab mil ke chalenge
bas maula bulalein
sun lein sadayein
hum ko dikhayein karbobala
kaash hamein hazrat e abbas bulayein
karbobala ka hamein deedar karadein
hussain ya hussain
maula hum ne hamesha se yehi hai suna
maal se daulat se nahi waasta
jis pe karam hota hai abbas ka
log wohi jaate hai karbobala
ghazi bula lo hamein
rauza dikha do hamein
hum to bas ab tum se hi faryad karenge
bas maula bulalein
sun lein sadayein
hum ko dikhayein karbobala
sab ki sada karbala
sab ki dua karbala
poocho azadaron se to sab ye kahenge
maula ab bhi caroro hai muhib aap ke
karbobala jo ke nahi aa sake
dil mein ziyaraat ki hasrat liye
kehte hai maula hamein bulwaiye
ya shah e karbobala
un ki bhi sun lo sada
wo bhi bulaawe ka intezar karenge
bas maula bulalein
sun lein sadayein
hum ko dikhayein karbobala
kaash hamein hazrat e abbas bulayein
karbobala ka hamein deedar karadein
hussain ya hussain
aana hai hum ko aana hai hum ko
aana hai hum ko ya hussain aana hai hum ko
aana hai hum ko mere maula wahan
asghar o qasim ali akbar jahan
honge shaheedon ke masayib bayan
karna hai phir matam e tishna laban
ganje shaheedan ka gham
shaam e ghariban ka gham
hum wahan ashoora o chehlum bhi karenge
bas maula bulalein
sun lein sadayein
hum ko dikhayein karbobala
sab ki sada karbala
sab ki dua karbala
poocho azadaron se to sab ye kahenge
dekhna hai manzar e karbobala
door thi kitni wo nehr alqama
jis jagah maula ne di hal min sada
jis jagah qaimw jalay sab kuch luta
ghazi gira tha jahan
royi sakina jahan
nauha padhenge wahan matam bhi karenge
bas maula bulalein
sun lein sadayein
hum ko dikhayein karbobala
kaash hamein hazrat e abbas bulayein
karbobala ka hamein deedar karadein
hussain ya hussain
karbobala waale shaheedo salaam
aap ka sheda hai ye aalam tamaam
dil pe likhe hai jo ye bahattar naam
yaad rakhenge ye tumhare ghulam
aap se waada raha
aayenge jab karbala
aa ke salaam ap ko sau baar karenge
bas maula bulalein
sun lein sadayein
hum ko dikhayein karbobala
sab ki sada karbala
sab ki dua karbala
poocho azadaron se to sab ye kahenge
aana hai maula aana hai hum ko
aana hai hum ko ya hussain
aana hai hum ko
haa ganje shaheedan pe
haa nehr e alqama pe
aana hai hum ko ya hussain
aana hai hum ko
haa ana hai hum ko
maqam e kaf e abbas
haa qaima e sadaat
haa maqam e ali asghar
haa maqam e ali akbar
wo rauza e shabbir
wo rauza e abbas
wo rauza e abbas
hum sab ke hai ye aas
bas maula bulalein