Kanz e Aza

Bas Yehi Ajre Risalat

A noha written by Ghulam Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

ye jo itrat se mohabbat hai zamane walon

bas yehi ajre risalat hai zamane walon


ye azadari ye girya e hamara matam

ye to bid'at nahi ulfat hai zamane walon

bas yehi ajre risalat...


hashr tak mit nahi sakta shahe mazloom ka gham

isko tauheed se nizbat hai zamane walon

bas yehi ajre risalat...


hote karbal mein to hum apne gale katwaate

ab bhi dil mein yehi hasrat hai zamane walon

bas yehi ajre risalat...


hum bahate lahoo apna ghame sarwar mein

humko andaza e nusrat hai zamane walon

bas yehi ajre risalat...


apne seene pe sulaate thay mohamed jisko

us nawase ki shahadat hai zamane walon

bas yehi ajre risalat...


khoon matam mein bahana hai daleele ulfat

ghame shabbir ibadat hai zamane walon

bas yehi ajre risalat...


jisko emaan ka sarmaaya samajhta hai ghulam

ghame shabbir wo daulat hai zamane walon

bas yehi ajre risalat...