ay azadaron ay wafadaron
farshe aza ke taaron
shabbir ke matamdaron
fikr na karna fatema hai na
matam kiya hai tum ne batayegi fatema
jannat mein tum se pehle na jayegi fatema
waada hai bakhshwane jab aayegi hashr mein
ghazi ke dono baazu bhi layegi fatema
matam kiya hai tum ne...
aansu bahaye tum ne jo naame hussain par
rumaal khol kar wo dikhayegi fatema
matam kiya hai tum ne...
pyason ko tum ne pani pilaya sabeel par
kausar ka jaam tum ko pilayegi fatema
matam kiya hai tum ne...
phir rashk ki nigahon se dekhenge sab tumhe
jab tum ko apna keh ke bulayegi fatema
matam kiya hai tum ne...
jo betiyon ko rakhti hai chadar ke saaye mein
un maaon ko gale se lagayegi fatema
matam kiya hai tum ne...
farshe aza bicha ke bulao to ek baar
dekho tumhare ghar mein bhi aayegi fatema
matam kiya hai tum ne...
ro ro ke do hussain ke zakhmo ka waasta
zawwar karbala ka banayegi fatema
matam kiya hai tum ne...
majlis ka ehtemam karo fikr mat karo
aayega bas wo jis ko bulayegi fatema
matam kiya hai tum ne...
tum ne kabhi bhulaya nahi gham hussain ka
tum ko kabhi bhi bhool na payegi fatema
matam kiya hai tum ne...
zeeshan abidi ho ya farhan koi bhi
har matami ki shaan sunayegi fatema
matam kiya hai tum ne...