ay khuda aagaya maahe aza
basar ho maahe aza is tarah khuda e hussain
ho haath seene pe lab par rahe sada e hussain
namaz e ishq hai padhni ke ba-wazu ho kar
mai intezar may hoo kab mujhe bulaye hussain
basar ho maahe aza...
larazte guzre nabi nainawa ki dharti se
na kar saka koi abaad maa siwa e hussain
basar ho maahe aza...
wo rakhna dhaar galay par thi inteha e khaleel
yahan pe laasha e akbar hai ibteda e hussain
basar ho maahe aza...
suna to shukr ke sajde may gir gayi farwa
jab ek laashe ko gathri may leke aaye hussain
basar ho maahe aza...
jawab kyun nahi dete mujhe ali akbar
behan ke khat ko ab aakhir kise sunaye hussain
basar ho maahe aza...
jhuki hai sheh ki kamar jab se tum abbas gaye
kise awaaz dey bhai kise bulaye hussain
basar ho maahe aza...
qadam ko aage badhaya kabhi gaye peeche
chale jo mayyat e baysheer ko uthaye hussain
basar ho maahe aza...
kaleja phat'ta hai rehan aur khadim ka
batool kehti hai jis waqt roke haye hussain
basar ho maahe aza...