bhoolo na momino kabhi sarwar ki pyaas ko
akbar ki pyaas ko ali asghar ki pyaas ko
ta hashr kyun na saaton samandar kare salam
shabbir ibne saaqiye kausar ki pyaas ko
akbar ki pyaas ko...
karlene yaad jab koi pani kare talab
hamshakle mustufa ali akbar ke pyaas ko
akbar ki pyaas ko...
wo sabr tha ke pyaas ka shikwa nahi kiya
laakhon salam zainabe muztar ki pyaas ko
akbar ki pyaas ko...
har mausame aza mein sabeelein saja ke hum
karte rahenge yaad bahattar ki pyaas ko
akbar ki pyaas ko...
aelaan kar rahi thi ye inmein zabane khushk
aankhon se dekhlo ali asghar ki pyaas ko
akbar ki pyaas ko...
seene mein tere dil nahi patthar hai hurmala
kyon teer se bujhata hai asghar ki pyaas ko
akbar ki pyaas ko...
chalees saal sayyade sajjad karke yaad
aansu bahate rehte thay sarwar ki pyaas ko
akbar ki pyaas ko...
aaye nazar jo mashk o alam tumko ek saath
karlena yaad dukhtare sarwar ki pyaas ko
akbar ki pyaas ko...
auron ka zikr kya hai jigar thaam kar ghulam
khanjar se pooch shimr ke sarwar ki pyaas ko
akbar ki pyaas ko...