ay baba alaika minni as salaam
jab ye awaaz suni jawan bete ki
shaah gir gir ke uthe suye maidan chale
haath akbar ka kaleje pe jo dekha to kaha
ay barchiyon waalon akbar ko na maaro
mere akbar ko na maaro
allah allah kahin teer kahin bhaala hai
kya isay barchiyan khaane ke liye paala hai
ye mera noore nazar shabihe paighambar
ye agar maara gaya mai bhi na jee paaunga
ay barchiyon waalon...
haye abbas ke marne se kamar may kham hai
aur akbar ki judaai may nazar bhi kam hai
dekho mai tanha hoo ghareeb kitna hoo
mera ab koi nahi hai ali akbar ke siwa
ay barchiyon waalon...
ghayr kar dasht may tum maar rahe ho jis ko
mil ke do maaon ne parwaan chadaya is ko
naiza bardaron ruko kuch to ehsaas karo
seh na payengi ye gham zainab o umme laila
ay barchiyon waalon...
kabhi akbar to kabhi suye madina dekha
dasht may jaate huwe yaad jab aayi sughra
bole maula ro kar wo yahan hoti agar
dekhti kaisi jawan bhai ka zakhmi seena
ay barchiyon waalon...
kya tumhari koi aulaad nahi hai bolo
beta kis tarha jawan hota hai mujhse poocho
gurz se zakhmi hai sar hai lahoo chehre par
mera armaan tha akbar ke ho sar par sehra
ay barchiyon waalon...
maula jab bete ke paas aaye suno kya dekha
aediyan khaak pe akbar ko ragadta dekha
sabr phir toot gaya shaah ne ro ke kaha
shiddat e dard se mar jaaye na akbar mera
ay barchiyon waalon...
kya kabhi socha hai zeeshan aur irfan e aza
kaise us baap ne bete ka uthaaya laasha
haye jo qaimon se ghutniyo chalte huwe
naujawan laash tak aaya ye sada deta hua
ay barchiyon waalon...