Eid Mubarak…Ali Walo Ko
Eid Mubarak…Nabi Walo Ko
Saari Duniya Ko…Eid Mubarak!
Ali Mola Banaye Ja Rahe Hain
Hai Jis Jis Ke Nabi Mola Usi Ke Ali Mola Banaye Ja Rahe Hain
Muhammad Muskuraye Ja Rahe Hain
Ali Mola Banaye Ja Rahe Hain
Falak Neeche Nazar Aane Laga Hai, Ali Itne Uthaye Ja Rahe Hain…
Muhammad Ko Khabar Hai Khaslaton Ki, Bhagoray Hain Bithaye Ja Rahe Hain…
Parhate Hain Muhammad Poora Kalma Sahih Muslim Banaye Ja Rahe Hain…
Kiye Jo Zul'Ashirah Mai Khuda Ne, Wohi Waade Nibhaye Ja Rahe…
Manaat aur Laat, Uzza Hain Vo Dekho, Jo Kab se Moo Banaye Jaa Rahe Hain…
Fitrus Banu To Dekhne Jaaon…Ghadeer e Khum
Apne Par'on Pe Likh Ke Mai Laaon…Ghadeer e Khum
Miljaye Raaste Mai Kaheen Sheikh Ji Mujhe, Naare Laga Laga Ke Sunaaon Ghadeer e Khum!
Lagakar Naara e Haider Abuzer, Kisi Ka Dil Jalaye Ja Rahe Hain…
Utha Kar Haath Haider Ka Muhammad, Balandi Se Dekhaye Jarahe Hain…
Ali Ke Jashn Me Zeeshan o Mesum, Qaside Gun Gunaye Jaa Rahe Hain…