afsos ali ka ummat ne
sajde mein khoon bahaya hai
kaisa ye waqt qayamat ka
aulaad e nabi par aaya hai
ali ya ali ya ali...
us zakm se zarb e muljim ke
zainab ka kaleja chalni hai
is qaum ki khaatir sajde mein
jo zakm ali ne khaaya hai
ali ya ali ya ali...
masjid mein huwe zakhmi hyder
baba ki jabeen hai khoon mein tar
ye masjid e kufa mein nauha
abbas ke lab par aaya hai
ali ya ali ya ali...
wo jiska badan pamaal hua
wo jisko kafan ran mein na mila
mazloom wo apne baba ka
taboot utha kar laaya hai
ali ya ali ya ali...
hasnain ne sar ko peeta hai
zainab pe yateemi aayi hai
kufe mein udaasi chaayi hai
aflaak ka dil thar'raya hai
ali ya ali ya ali...
zehra ki judaai ke gham ko
ab tak na bhula wo paayi thi
phir aaj ali ki beti par
ghurbat ka zamana aaya hai
ali ya ali ya ali...
hasnain ke baba qatl huwe
jibreel sada ye deta hai
abbas ke aansu behte hai
shabbir ka dil bhar aaya hai
ali ya ali ya ali...
tareekh gawahi deti hai
wo kufa ho ya karbobala
ummat ne mohib har zulm o sitam
aulaad e nabi par dhaaya hai
ali ya ali ya ali...