Kanz e Aza

Ali Pay Zulm ki Jo

A noha for Imam Ali (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Ali Pay Zulm ki Jo Hoti Inteyha Dekhi

Har ek Beti ki roti Howi Rida Dekhi


1- Jo Kul e Eema o Wajhay Khuda pay Zarab chali

Too Rooti Kufay may Tafaseer E La illaah Dekhi


2- Rida ko bhool kay Zainab ko Ghush pay Ghush Aaey

Lahoo say Surkh Joun hi Shakal e Murtaza Dekhi


3- Hussain Amma meri Amma keh kay Doorh Paaray

Sirhanay Baap kay jo Amma Fatima Dekhi


4- Galay Hussain ko Mola nay Lagaya Shaiyad

Lahoo may Doobi howi Arzay Karbala Dekhi


5- Kuch esa kar kay dekhana hai bolay Ghazi say

Zamana bolay na easi kabhi wafa Dekhi


6- Qalum bhi cheekha Salamat ka Haraf ronay lagay

Jo Maah e Ramzaa may Karbal ki ibtayda Dekhi