Kanz e Aza

Ali Sharminda Hai

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

tumhare baad badha dard aur kam na hua

kisi ke dil pe bhi itna bada sitam na hua

qadam qadam pe rahi tum ali ke gham mein shareek

ali ko gham hai tumhara shareek e gham na hua

ali sharminda hai zehra


bahot dunya ne tadpaya ali kuch bhi na kar paaya

ali sharminda hai zehra


suni kab dard mein doobi tumhari siskiyan maine

na dekhi haye jeete ji shikasta phasliyan maine

na kuch tum ne hi batlaya

ali sharminda hai...


mujhe khud bhi na tha us waqt apne gham ka andaza

gira jab haye pehlu par tumhare jalta darwaza

madad ko bhi nahi aaya

ali sharminda hai...


bhare darbar mein ummat ke jhutlaya gaya tum ko

ali ke saamne dunya mein tadpaya gaya tum ko

tumhara haq na dilwaya

ali sharminda hai...


utaara qabr mein jis dam nabi zaadi ki mayyat ko

kabhi hasnain ko dekha kabhi zehra ki surat ko

yehi ro ro ke farmaya

ali sharminda hai...


lahoo royega dil shaam o sahar tumse juda ho kar

rahega ye khalaq kaunain ka mushkil kusha ho kar

na mohsin ko bacha paaya

ali sharminda hai...


shikasta phasliyon ka dard bhi kuch kam na kar paaya

maseeha ko yehi gham hai ilaaj e gham na kar paaya

isi aalam mein dafnaya

ali sharminda hai...


kabhi jab qabr par aaye baraye fateha khwani

yehi kehte thay rakh kar turbat pe peshani

koi khaatir na kar paaya

ali sharminda hai...


najaf se jab ali ne qabr e zehra par nazar daali

lehed ujdi hui dekhi tadap kar reh gaya waali

ye jumla phir se dohraya

ali sharminda hai...


wo dekho aaj bhi saaya nahi hai qabr e zehra par

kisi ki ye sadayein aa rahi hai aamir o akhtar

zamaane ne sitam dhaaya

ali sharminda hai...