Kanz e Aza

Azadaron ki Manzil

A noha written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

hamari shaan karbala hamari jaan karbala


azadaron ki manzil karbala hai

lahoo mein inki shaamil karbala hai


karbobala mein itni kashish bhar gaye hussain

jo ek baar jayega har baar jayega


farishte aasman waalon ki saff se

jabeen malne dar e shaahe najaf se

tajjalli paane noorani sharaf se

chale aate hai zaair har taraf se

har ek kashti ka saahil karbala hai

azadaron ki manzil...


kaha jannat ne jannat karbala ko

na bhaaye kis liye ahle aza ko

amal lagta hai ye acha khuda ko

mussalle par rakho khaake shifa ko

is aaine ke qaabil karbala hai

azadaron ki manzil...


karbobala mein jaa ke ye kehte hai zaireen

jannat se uthke kaun samajhdaar jayega


hai charcha karbala ka aasman par

qaseeda hai rasoolon ki zaban par

wahan se kam nahi raunaq yahan par

na itrao falak waalon jina par

zameen waalon ko haasil karbala hai

azadaron ki manzil...


kahan is ka sharaf kaabe se kam hai

nigaahe kibriya mein mohtaram hai

isi ki chaaun mein roohe haram hai

hamay jaane se roke kis mein dam hai

ke ham sab ka mustaqbil karbala hai

azadaron ki manzil...


khush hoke dil se us ko laga legi karbala

hurr ban ke jab bhi koi gunahgar jayega


musalmano khuda ka khauf khao

ziyarat is ki mat biddat batao

wafa kuch to mohamed se nibhao

chalo tum bhi hamare saath aao

nabi ke deen ka dil karbala hai

azadaron ki manzil...


badan se jab nikal jaati hai roohein

kahan ki hai ye batlaati hai roohein

dar e shabbir pe aati hai roohein

ye khush ho ho ke chillati hai roohein

khuda waalon ki mehfil karbala hai

azadaron ki manzil...


jaata hai kis ke saath bhala kaun qabr mein

khaake shifa ke saath azadaar jayega


wafa hum se nibhati hai lehad tak

hamara dil badhati hai lehed tak

sahara deti jaati hai lehed tak

hamare saath aati hai lehed tak

hamara radde mushkil karbala hai

azadaron ki manzil...


sitaare aamir o akhtar falak par

fida hai iske zarron ki chamak par

bichate hai yahan apne malak par

hai iski roshni kaabe talak par

ab us manzil mein daakhil karbala hai

azadaron ki manzil...