dashte bala mein kehti thi maadar
azan do akbar sahar hui hai
leke balayein sadqe ho maadar
azan do akbar sahar hui hai
ye to mai samjhi sote ho ghaafil
kya karun lekin sooni hai mehfil
is liye tum se kehti hai maadar
azan do akbar sahar hui hai
dashte bala mein...
shaah e zaman ke saath jinhone
jalti zameen par sajde kiye hai
aaye hai wo bhi khaak pe besar
azan do akbar sahar hui hai
dashte bala mein...
naine to jaana jaage huwe ho
zakm bhi tan par khaaye huwe ho
tum ko jaga doon ran mein ye keh kar
azan do akbar sahar hui hai
dashte bala mein...
saaf agar tum keh do ye mujhse
zakhme sina mein dard siwa hai
phir na kahun mai shana hila kar
azan do akbar sahar hui hai
dashte bala mein...
is pa taa'jub hota hai mujhko
need ye kaisi aayi hai tum ko
uth'te nahi ho kehti hoo ro kar
azan do akbar sahar hui hai
dashte bala mein...
keh diya hota mujhse jo sheh ne
qalb me tere naiza laga hai
kaahe ko kehti tumse ye muztar
azan do akbar sahar hui hai
dashte bala mein...
mai nahi kehti qaime mein aao
garmi ki eeza tan pe uthao
aarzu itni aayi hoo le kar
azan do akbar sahar hui hai
dashte bala mein...
chup gaya dekho saara andhera
ho gaya bilkul noor ka tadka
padlo namaz e aakhri uth kar
azan do akbar sahar hui hai
dashte bala mein...
halki si ran mein phaili safedi
raat ne kaali zulf sameinti
nikle hai taayir bol ke aksar
azan do akbar sahar hui hai
dashte bala mein...
mehwe ibadat hai saari khilqat
dil mein chupi hai uski mohabbat
naame khuda hai sabki zuban par
azan do akbar sahar hui hai
dashte bala mein...
charkh pa kam kam taare hai baaqi
baithe hai uth ke saare namazi
baaghe iram se aaye hai hyder
azan do akbar sahar hui hai
dashte bala mein...