Kanz e Aza

Azakhane Hai Jiski

A noha written by Nayab Balyavi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

azakhane hai jiski shaan ye mera mulk mera emaan

mere maula ki khwahish ka naam hai hindustan


chand muharram ka jab nikla gaon huwe saare aabaad

gali gali se shor utha ke nasle yazeedi murdabad

hindu'on ke lab par hai shabbir hamara zindabad

dunya ke har mulk se zayed hind mein hai hum sab azaad

isi se saari dunya se acha hai hindustan

azakhane hai jiski shaan...


u.p m.p karnatak gujrat goa dehli aasaam

manipur bihar himachal hai laddakh baland maqam

in sab ki qismat ki jabeen par likha hai shabbir ka naam

subho azane akbar se hai shaam e gariban inki shaam

dashte bala ki yaad mein tapta hai wo rajasthan

azakhane hai jiski shaan...


haryana punjab mizoram andhr tamil keral kashmir

daman diu telangana pandicherry gham ki tasveer

andaman chattisgarh aur uttrakhand gham ki tanveer

maharashtr ho ya ke odisa shaane aza ki hai jageer

sheh ki azadari ka in sab par hai bada ehsaan

azakhane hai jiski shaan...


masjid ke jo ehtaram ki ek hadh par ruk jaata hai

hindu wo lekin ye sach hai farshe aza par aata hai

qaumi yekjehti ka hunar ye farshe aza sikhlata hai

sikh esaayi apni muradein farshe aza se paata hai

farshe aza par aane se ghabrata hai shaitan

azakhane hai jiski shaan...


mulk hai mera sab se pyara mulk se hai hum sab ko pyar

iski khaatir jeena marna asl hussaini hai kirdaar

sheh ki azadari se hi ye mulk hua har soo zaubaar

iski azadi mein shaamil karbobala ka hai eesaar

aise watan se ulfat karna nisf hua emaan

azakhane hai jiski shaan...


maana ke dunya ke har goshe mein raaij sheh ki aza

lekin apne mulk ki raaij sheh ki aza ka kya kehna

karbobala se door bani taskeen ki laakhon karbobala

kalmago kya hindu'on ke ghar mein aza ka farsh bicha

sheh ki azadari se hai ye bharat desh mahaan

azakhane hai jiski shaan...


waadi waadi sehra sehra matam e sheh jangal jangal

darya darya saahil saahil khushki ho yaa ke jal thal

sadiyon se hai zikre shahe deen sa’at sa’at har ek pal

gulshan gulshan koh ka daaman sausan ho ya phool kawal

patta patta boota boota mausam e gham ki shaan

azakhane hai jiski shaan...


nagaland meghalay sikkim arunachal jharkhand tripura

asle namaze ishqe aza har ek ne ki hai in mein adaa

inke dil ke daaman mein pur noor hui hai karbobala

lakhsdeep aur chandigarh mein goonji hai matam ki sada

sheh ki azadari hi unki asl mein hai pehchaan

azakhane hai jiski shaan...


hindu muslim sikh eesaai ke hai labon par shaah ka naam

qaumi yekjehti ka kya is behtar hoga paigham

ganga jamna ki hai sabeelein tashna labon ki yaad mein aam

uth'ta hai bangaal se badal liye huwe ashkon ka jaam

aamir aur nayaab ke jazbe bharat pe qurban

azakhane hai jiski shaan...