zainab ne kaha laash se zehra ki lipat kar
amma meri amma
dekho to zara gham se mera haal hai muztar
amma meri amma
baba ke siwa koi nahi sar pe hamare
nana bhi sidhare
kya kya na sitam dhayenge ham par ye sitamgar
amma meri amma
zainab ne kaha...
us ghar ke jalane ko chale aaye thay aada
jis ghar mein thi zehra
wo ghar jahan be-izn na aate thay payambar
amma meri amma
zainab ne kaha...
us waqt zaban se mai kabhi uff na karoongi
har zulm sahoongi
jakdenge rasan mein mujhe jis waqt sitamgar
amma meri amma
zainab ne kaha...
ye kam nahi baba mere khaaliq ke wali hai
hum aale nabi hai
allah ka ek khaas ye ehsaan hai hum par
amma meri amma
zainab ne kaha...
allah ye sin aap ka athara baras ka
marne ka nahi tha
kya jald khaza kar gayi ay binte payambar
amma meri amma
zainab ne kaha...
di mujhko ye nana ne khabar karbobala ki
ek daure jafa ki
farmate thay kat jaayega bhai ka mere sar
amma meri amma
zainab ne kaha...
ek hashr ghulam aale payambar mein bapa tha
ghul aaho buka tha
kehti thi ye dil thaam ke jab zainabe muztar
amma meri amma
zainab ne kaha...