kaandhe pe laasha e ali akbar liye huwe
qaimon mein ladkhadate hussain aaye dasht se
haye maadar lipat ke boli ye akbar ki laash se
ay naujawan kis ki nazar lag gayi tujhe
tu ne to dulha ban'na tha is maa ke saamne
ay naujawan kis ki nazar lag gayi tujhe
sehra utha ke laayi hai mayyat pe teri maa
dulha tumhe banane ke ye din hai meri jaan
akbar jawan abhi tere marne ke din na thay
ay naujawan kis ki...
beta to apni maa se kabhi rooth'ta nahi
awaaz par meri kyun tu kuch bolta nahi
tu hi bata de kaise manaye ye maa tujhe
ay naujawan kis ki...
toda hai tum ne baba ki godhi mein jab se dam
beenayi jaa chuki hai kamar ho chuki hai kham
jeete thay tere baba tujhe dekh dekh ke
ay naujawan kis ki...
behno ne tujhko mehndi lagani thi haath par
kubra bhi hai sirhane sakina bhi hai magar
afsos meri sughra na mil paayi bhai se
ay naujawan kis ki...
dekhi hai usne seene mein tooti hui sina
naazon ne jisne paala hai mar jayegi wo maa
kyun tum bhari jawani mein jaate ho chod ke
ay naujawan kis ki...
yasrab mein tere dost jo poochenge meri jaan
tum mar gaye ye kaise batayegi unko maa
har ek naujawan ko salamat khuda rakhe
ay naujawan kis ki...
zeeshan abidi ho ya farhan har jawan
ro ro ke yaad karta hai akbar ki hichkiyan
seene pe haath rakhta hai ye bol bol ke
ay naujawan kis ki...