haye jab raah e shaam mein
dekha ghareeb baap ka sar
nok e sina par to sakina ne
tadap kar ye kiya tha nauha
baba baba baba baba
jab koi yateema kehta hai
mujhe aap bahot yaad aate hai
kab hoga safar khatm ye mera
raahon mein kaanton par
chalte chalte mai thak gayi hoon
baba jaan
jab se rasan mein ye gala hai
baba mera dam ghut raha hai
mushkil hai ye safar ay baba
mai is safar mein mar na jaaun
aakar sambhalo gir na jaaun
khaak par dekho na panjon par
chalte chalte mai thak gayi hoon
baba jaan
baad aap ke jab shimr aaya
baba mera daaman jalaya
cheene mere gauhar ay baba
deti rahi ro kar duhaai
baalon se kheencha jab mai aayi
laash par zakhmi hai mera sar
chalte chalte mai thak gayi hoon
baba jaan
pehle to mujhko ek qadam bhi
chalne nahi deta tha bhai
kya wo bhool gaya ay baba
baba teri jis par nazar hai
haan wo mere bhai ka sar hai
poocho zara sunta nahi kyun akbar
chalte chalte mai thak gayi hoon
baba jaan
sab dekhte hai bas tamasha
jo bhi mila dekho tamacha
usne maara mujhe ay baba
kab tak reha hogi sakina
yaad aa raha hai ab madina
baba mujhe jaaungi mai kab ghar
chalte chalte mai thak gayi hoon
baba jaan
ro kar sakina ne sada di
seene pe sone ki hoon aadi
neend aayi hai mujhe ay baba
mai khaak par so na sakungi
bas ye sada deti rahungi
baba tujhe godhi mein lo aakar
chalte chalte mai thak gayi hoon
baba jaan
pyasi ko sab ne yun sataya
pani dikhaya aur bahaya
kya kya maine saha ay baba
naize se ammu ka gira sar
jab shaam waalon se tadap kar
maine kaha pani mujhe do laa kar
chalte chalte mai thak gayi hoon
baba jaan
darbar mein manzar jo dekha
zeeshan wo kaise likhega
ay irfan e aza ay baba
beti ne ro ke jab sada di
baba ka sar godhi mein uski
aa gaya kehti rahi ro ro kar
chalte chalte mai thak gayi hoon
baba jaan