baba ko sadayein deti hai
jangal may sakina raat gaye
jab kaan may uske aati hai
awaaz e ilayya raat gaye
abbas nahi qasim bhi nahi
akbar bhi nahi asghar bhi nahi
be-gor o kafan hai jangal may
shabbir ka laasha raat gaye
baba ko sadayein...
zehra ki dulaari sar kholay
be-makhna o chadar baithi hai
roodad e alam dohrata hai
jalta hua qaima raat gaye
baba ko sadayein...
jab sham e ghariban ko lekar
ashoor ka suraj doob gaya
sajjad ko bhi be-deeno ne
zanjeer may jakda raat gaye
baba ko sadayein...