ro ro ke baba jaan se kehti thi fatema
baba mai kya karun
daswi ko karbala mein mera ghar ujad gaya
ek do paher mein haye muqaddar bigad gaya
baba mai kya karun
aun o mohamed apne abo jadd ki thay misaal
zainab ke dono laal
maa ne nisaar unhe bhi biradar pe kar diya
phir bhi mera hussain jafa se na bach saka
baba mai kya karun...
qasim sa naujawan ke nihayat haseen tha
kitna zaheen tha
aada ne uski laash ko pamaal kar diya
nasle hassan ko qata kiya haye kya kiya
baba mai kya karun...
farzand mera kitna jari aur diler tha
sheron ka sher tha
mai dekhti rahi mera abbas mar gaya
shaane kata ke nehr pe ghazi guzar gaya
baba mai kya karun...
kadiyal jawan aap ki bilkul shabih tha
kaisa wajeeh tha
khaa kar sina kaleje pe akbar guzar gaya
ek aah ki hussain ne aur dil pakad liya
baba mai kya karun...
asghar wo cheh mahine ki jaan haye natawan
pyasa tha bezaban
lekin shaqi ne teer e seh shoba chala diya
aaghosh mein hussain ki baccha ulat gaya
baba mai kya karun...
baba idhar to dekhiye balwa e aam mein
izdehaam emin
wo jaa raha hai dard raseedon ka khafila
zainab bhi saath saath chali hoke berida
baba mai kya karun...