baba jaanam baba jaanam baba jaanam
mai suye zindan chali aap ki naazon ki pali
baba jaanam baba jaanam baba jaanam
khaafila jab suye zindan chala
apne baba se sakina ne kaha
ho gaya qaid tumhara kunba
baba dekho mera rassi may gala
haye meri yateemi haye meri ghareebi
baba jaanam baba jaanam...
baba ek baar to aankhein kholo
qaidi beti ki ye haalat dekho
baba ek baar sakina keh do
bolo baba mere kuch to bolo
haye meri yateemi haye meri ghareebi
baba jaanam baba jaanam...
baba pani ki mujhe aas nahi
mera saqqa mera abbas nahi
ashk pilungi mujha pyaas nahi
hum ko ye karbobala raas nahi
haye meri yateemi haye meri ghareebi
baba jaanam baba jaanam...
baba ek baar sada do baba
apne nazdeek bula lo baba
shimr aata hai bacha lo baba
apne daaman may chupa lo baba
haye meri yateemi haye meri ghareebi
baba jaanam baba jaanam...