allah ki riza hai mohabbat hussain ki
poocho rasool-e-paak se azmat hussain ki
tareekh hai gawah ke kufre yazeed se
islam ko bachagayi daulat hussain ki
allah ki riza hai...
darya kinare laasha e abbas dekh kar
ahle aza na poochiye haalat hussain ki
allah ki riza hai...
ran se jawan bete ka laasha uthate hai
sab se badi yehi hai musibat hussain ki
allah ki riza hai...
dam toot'ta tha uska jo ankhon ka noor tha
jaati na kaise ran may basarat hussain ki
allah ki riza hai...
beti ali ki peet ke sar apna reh gayi
dashte bala may dekh ke haalat hussain ki
allah ki riza hai...
ubhrenge har zamane may kuch waqt ke yazeed
har daur ko rahegi zaroorat hussain ki
allah ki riza hai...
har majlise hussain may aati hai fatema
jabse hui hai ran may shahadat hussain ki
allah ki riza hai...
mehshar ka khuaf unko hai humko nahi ghulam
humko naseeb hogi shifa'at hussain ki
allah ki riza hai...