Kanz e Aza

Alwida Ahle Haram

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

asr ka waqt qareeb aagaya lo jaate hai ham

alwida ahle haram alwida ahle haram alwida alwida

jane phir laut ke aaye ke na aaye ye khadam

alwida ahle haram alwida alwida


mere nana ki abaa aur amama lao

wo jo kurta meri amma ne siya tha lao

aur zainab ko bula lao ke ab waqt hai kam

alwida ahle...


bibiyo dekhlo jee bhar ke chalo ruye hussain

gule zainab se juda hoti khushbuye hussain

jaane phir ho ke na ho lamha ye ziarat ka baham

alwida ahle...


bole sheh ghar ki nigehban meri zainab tum ho

mai to jaata hoo magar meri jagah ab tum ho

janiyo isko ghanimat hai jo sajjad ka dam

alwida ahle...


bibiya halqa kiye thi tane mazloom ke gird

baal khole huwe aansu liye masoom ke gird

noha e hazrate zainab pa tha sheh ka matam

alwida ahle...


haat uthate hi nahi zulm se ye baaniye shar

le gaye kaat ke ye aun o mohamed ke bhi sar

ab mere sar ke talabgaar hai ye ahle sitam

alwida ahle...


ghash se abid ko uthakar kaha beta hoshiyar

lo hui shaam hui shaam ki manzil tayyaar

tum ho ab aur hai be-pardagiye ahle haram

alwida ahle...


hoke ruqsat hue shabbir jo ghode pa sawaar

ayd dete thay to badta na tha aage rahwaar

koi bachi thi jo rahwaar ke thaame thi khadam

alwida ahle...


utre ghode se sakina ko uthaya ek baar

jhuk ke ruqsaar ko seene se lagaya ek baar

bole phir se ke pani ke liye jaate hai hum

alwida ahle...


karke seene se sakina ko juda sheh ne naved

jao qaime may sakina se kaha sheh ne naved

phir bade suye faraz shah ba-larzida khadam

alwida ahle...