alwida alwida ay hussain alwida
kehti thi dukhiya behen mere hussain alwida
banda e mabood ada sidq o safa ki kitaab
paikare sabr o riza roohe risalat ma'ab
faatahe karbobala lakhte dil e bu-turaab
ambiya ki zindagi fatema ke jaan o tan
kehti thi dukhiya behen...
kis jagah taqdeer ka laaya safeena mujhe
dekh mila hai yahan gham ka dafeena mujhe
kaash ke kar le qubool jadh ka madina mujhe
jaati hoon saughaat mein leke nishane rasan
kehti thi dukhiya behen...
teri qasam ay hussain qabr pe aati zaroor
aake lehed par teri shamma jalati zaroor
chadar e ashke aza roke chadhati zaroor
kya kare zindan mein qaid thi teri behen
kehti thi dukhiya behen...
peshe nazar har ghadi ghurbate ahle haram
qasime muztar ki yaad aun o mohamed ka gham
baad tere ay hussan mujhpe thi har har qadam
dard o alam ki ghata baarishe ranj o mehen
kehti thi dukhiya behen...
gham ki har ek daastan jaake sunaungi mai
neel jo shaano pe hai wo bhi dikhaungi mai
roke mazaar e nabi par ye bataungi mai
loota gaya kis tarha nana tumhara chaman
kehti thi dukhiya behen...
dil ke nageenein sar e dashte bala kho gaye
ran mein dileron ko aayi qaza so gaye
bhai bhatije pisar mujhse juda ho gaye
sone na degi mujhe ab mere dil ki chubhan
kehti thi dukhiya behen...
gham mein tere raat din roye na kyun dil malool
khusboo e deene khuda baaghe imamat ke phool
haye re ghurbat teri raakib e doshe rasool
na hui turbat naseeb laash rahi bekafan
kehti thi dukhiya behen...
gham ki meri daastan haal safar ka suno
roohe payambar utho mere baradar utho
uth ke zara qabr se daade shuja'at to do
jeet ke kufa o shaam aayi hai dukhiya behen
kehti thi dukhiya behen...
raas na aaya tujhe ye safar e karbala
maa ki lehed bhi chuti nana ka rauza chuta
zindagi bhar ke liye door madina hua
koi nahi deher mein tujhsa ghareebul watan
kehti thi dukhiya behen...
kya teri fikre rasa kya tera nauha bilal
khatra e na-cheez tu aur wo darya bilal
dil mein faqat hai yehi ek tamanna bilal
kaash ye karle qubool shaahe huda ki behen
kehti thi dukhiya behen...