ana qateelul abra
mai kushtae ibrat hoon
kis ne paraye des mein dekha aisa khooni manzar
shimre layeen ne be-rehmi se phera halq pe khanjar
jis ko ek dukhiyari maa ne chakki pees ke paala
ana qateelul abra...
haq ke nabi ne jisko bithaya dosh pe naaqa ban ke
eid ke din rizwan e jina khud laaya jis ke kapde
usko kafan dene ke bajaye pairahan bhi cheena
ana qateelul abra...
meri behna dekh ke mujhko kyun na pachade khaaye
haye mera bemaar pisar behosh na kyun hojaye
zakhm badan par mere lage hai mo-e tan se zyada
ana qateelul abra...
binte nabi ki qalb ki raahat laqte dile hyder hoon
ranj o alam se choor hua hoon bekas hoon muztar hoon
meri mazloomi pe zamana khoon ke aansu roya
ana qateelul abra...
dekhte rehte thay hasrat se jis ko baba hyder
subho masa jis halq ko chooma karte thay paighambar
shimre layeen ne roze dahum us halq pe khanjar phera
ana qateelul abra...
rok ke khutba jisko uthaya godh mein mere jadh ne
jis ke liye apne sajde ko tool diya ahmed ne
kalma goyon ne sajde mein qatl usay kar daala
ana qateelul abra...
amma tum jis dasht mein shab bhar aaho buka karti thi
jis ko apne baalon se tum saaf kiya karti thi
haye sitamgaaron ne wahin par mera khoon bahaya
ana qateelul abra...
mai hoon shaheede raahe khuda aur paikare sabr o raza hoon
karbobala hai shahid aisa kushta e tayghe jafa hoon
jis ke janaze ko maqtal mein teeron ne hai uthaya
ana qateelul abra...
sharte wafa bas itini hai mil jaaye jo thanda pani
yaad kare mazloom ki aur bekas ki tashna dahani
zainab ye paigham hamare shiyon se keh dena
ana qateelul abra...
rooh ko bhi mil jaaye sukoon aur qalb ko chain aa jaaye
karbobala se kaash bilal awaaz e hussain aa jaaye
dard mein dooba mere shayar khoob ye nauha likha
ana qateelul abra...