Kanz e Aza

Apni Aghosh Mein

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Nawab Cholasvi. Lyrics in Roman Urdu.

haye ya hussain haye ya hussain


chal rahi hai meri gardan pe churi

apni aaghosh mein le lo amma


keh rahe the ye hussain ibne ali

apni aaghosh mein le lo amma


tashna lab naazon ka paala hai tumhara beta

qatl ab hone hi waala hai tumhara beta

rukne waali hai har ek saans meri

apni aaghosh mein le lo amma

chal rahi hai meri...


apne bachpan ka nibhata hoo ye waada dekho

maine badla to nahi apna iraada dekho

sar mera kaatne waala hai shaqi

apni aaghosh mein le lo amma

chal rahi hai meri...


thak gaya laashein utha kar bhare lashkar ki

laash qasim ki mai laaya hoon kabhi akbar ki

khud banayi hai lehad maine ali asghar ki

do tasalli mujhe seene se laga lo amma

haye ya hussain haye ya hussain

chal rahi hai meri...


kitni bechain hai amma meri zainab khwahar

aake teele pe wo khud dekh rahi hai manzar

ho rahi hai usay takleef badi

apni aaghosh mein le lo amma

chal rahi hai meri...


mar gaya mera jari bhai magar sabr kiya

mere akbar ne sina khaayi magar sabr kiya

mil gayi khaak mein tasveer e nabi

apni aaghosh mein le lo amma

chal rahi hai meri...


haajira aasia maryam bhi isi dasht mein hai

nooh bhi hazrate aadam bhi isi dasht mein hai

ro rahe hai meri ghurbat pe sabhi

apni aaghosh mein le lo amma

chal rahi hai meri...


kho diye dasht mein aankhon ke ujaale maine

khaliye dil pe bahot dard ke bhaale maine

maut aati hai to aa jaaye abhi

apni aaghosh mein le lo amma

chal rahi hai meri...


kalmago khoon rulaate hai mujhe maqtal mein

dekhlo kitna sataate hai mujhe maqtal mein

hil gayi dekhlo maqtal ki zameen

apni aaghosh mein le lo amma

chal rahi hai meri...


ek guzarish hai meri tum se ab itni maadar

amma baba ki qasam dhaamp lo moo par chadar

dekha jayega na ab tum se ye khooni manzar

aray qatl hota hoo nigaahon ko hata lo amma

haye ya hussain haye ya hussain


arz karte hi nawab ho gaya mehshar barpa

khaak udhane lagi maqtal mein janabe zahra

shadman jab ye sada shaah ne di

apni aaghosh mein le lo amma

chal rahi hai meri...