asr ko sheh ki sada aai kise aawaz du
ek mai hu meri tanhaai kise aawaz du
doobta hai dil mera khursheed ki kirno ke saath
ye udaasi uspe tanhaai kise aawaz du
ay ali akbar tumhari aakhri hichki ke saath
khogayi hai meri beenaayi kise aawaz du
jang se meri zamee'n aur aasmaa'n larze me hai
koun dekhe jang aye bhai kise aawaz du
jab rida cheeni gayi zainab ne rokar di sadaa
margaya abbas sa bhai kise aawaz du kise aawaz du
shaam hote hi zainab se sakina ne ye kaha
lootne fouqe sitam aayi kise aawaz du
shaam ka darbaar hai abbaso akbar bhi nahi
har taraf hai sab tamashaai kise aawaz du
tashnalab abbas jab saahil se waapas hogaye
alqama ro roke chillai kise aawaz du
juz hussain ibne ali kisko pukaarega *nawaz*
koun karta hai masihaai kise aawaz du