Kanz e Aza

Alwida ya Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Moazzin Pasha. Lyrics in Roman Urdu.

shaah e mashraqain fatema ke chain

ya maula hussain alvida

alvida ya hussain alvida ya hussain


roke zainab ye karti thi bain alvida

alvida ya hussain...


aaj akbar ki mayyat pe mai ro chuki

haath afsos abbas se dho chuki

kisko kisko kahun mai kisay kho chuki

bhai ab zulm ki inteha ho chuki

alvida ya hussain...


bhai kya kehke bewon ko samjhaungi

sar khule kaise darbar may jaungi

kaise baali sakina ko behlaungi

mere maajaye tumko kahan paungi

alvida ya hussain...


bhai tum thokare ran may khaate rahe

laash maidan se qaime may laate rahe

har tarha deen e haq ko bachate rahe

apni manzil ke nazdeek aate rahe

alvida ya hussain...


ab wo baysheer ki bezubani kahan

akbar e naujawan ki jawani kahan

ab wo abbas ki paasbani kahan

al-atash ki sadaein hai pani kahan

alvida ya hussain...


aao tumko galay se lagaye behan

aao bhaiya ke qurban jaye behan

kaun baaqi hai kisko bulaye behan

aao ghode pe khud hi bithaye behan

alvida ya hussain...


ran se halmin ki nagaah aayi sada

choor zakhmo se hai ab badan shaah ka

ay muazzam hui zulm ki imtehan

kat gaya shaah e bekas ka sookha gala

alvida ya hussain...