dekha jo dashte khooni mein zehera ke chain ne
faryaad amma zehra se yun ki hussain ne
akbar asghar qasim ghazi saare chale gaye
amma kise bulaye hussain
mehmab bula ke ummat ne dil ka sukoon loota hai
naiza sitam ka ay amma seene mein mere toota hai
toofan aasuon ka hai saahil bhi mujhse rootha hai
akbar asghar qasim ghazi saare chale gaye
amma kise bulaye hussain...
maanga duaon mein jisko usko bhi kho chuka hoo mai
kadiyal jawan ke laashe par maqtal mein ro chuka hoo mai
beenayi kho chuka hoo mai barbaad ho chuka hoo mai
akbar asghar qasim ghazi saare chale gaye
amma kise bulaye hussain...
qaime mein jhoola rota hai rota hai qalb maadar ka
tadpa hai mere haathon par nanha sa laasha asghar ka
ye aakhri sipaahi tha ay amma mere lashkar ka
akbar asghar qasim ghazi saare chale gaye
amma kise bulaye hussain...
pyason ki pyaas par amma qurban hogaya ghazi
ek mashk par fida ho kar bejaan hogaya ghazi
amma wafa ki dunya ka quran hogaya ghazi
akbar asghar qasim ghazi saare chale gaye
amma kise bulaye hussain...
ansaar o aqroba mere sar ko kata ke sote hai
pardesiyon pe ay amma kya aise zulm hote hai
dekho hussain ki ghurbat sab zakhm dil ke rote hai
akbar asghar qasim ghazi saare chale gaye
amma kise bulaye hussain...
bete ki guftagu sun kar royi rasool ki beti
jalti zameen pe baith kar boli rasool ki beti
mai tere saath hoo beta yani rasool ki beti
aaja meri godh mein aaja qurban ho ye maa
aaja mere hussain aaja...
har imtehan mein beta mai tujhko hausla doongi
zakhmon pe tere ashkon ka marham bhi mai laga doongi
in zaalimon ki nazaron se aaja tujhe bachaungi
aaja meri godh mein aaja qurban ho ye maa
aaja mere hussain aaja...
ghode ke zeen se maula jis dam zameen par aaye
gham se kaleja thaam kar zehra pukaar uthi haye
phaila ke apne haathon ko jhoola bana liya haye
aaja meri godh mein aaja qurban ho ye maa
aaja mere hussain aaja...
hai shadman ke lab par nauha janabe zehra ka
maqtal ne is riwayat ko kuch is tarha se likha tha
khud mazhar abidi jisko nauhe mein dhaal kar roya
aaja meri godh mein aaja qurban ho ye maa
aaja mere hussain aaja...