sajjad ki aankhon mein sughra
ashoor ka manzar dekhegi
lut'te huwe apni aankhon se
zehra ka bhara ghar dekhegi
wo lamha nazar aayega usay
qaime se chale thay jab akbar
kuch dayr lade phir zakhmi huwe
ghode se gire thay jab akbar
phat jayega seena sadme se
jab seena e akbar dekhegi
sajjad ki aankhon...
jab chashme baradar mein usko
aayega nazar ghazi ka alam
chehre pe sukoon aa jayega
kuch dayr mein kam ho jayega gham
do baazu unhi aankhon mein phir
wo jalti zameen par dekhegi
sajjad ki aankhon...
jab baap ke kaandhe par ghatri
dekhi to khayaal aaye honge
sughra ne kaha hoga dil mein
qasim ki bari laaye honge
jab ghatri khulegi to sughra
tukdon mein gul e tar dekhegi
sajjad ki aankhon...
asghar ko un aankhon mein har soo
dhoondegi bahot bemaar behen
shabbir ke haahton pe ek dam
aayega nazar wo tashna dahan
ek teer chalega us dil par
jab teer gale par dekhegi
sajjad ki aankhon...
hai dhoop mein turbat asghar ki
do laashein qareeb e darya hai
samjhegi nahi kuch dayr talak
ke dasht mein baba tanha hai
royegi bahot aur samjhegi
jab laashe bahattar dekhegi
sajjad ki aankhon...
zainab na sunane payegi
shabbir ki ghurbat ka qissa
dekhegi nighaon mein phir se
baba ke saath hua kya tha
tootegi qayamat sughra par
jab halq pe khanjar dekhegi
sajjad ki aankhon...
jab shaam e ghariban dekhegi
be-aas haram aur aag dhuaan
dil thaam ke apne haathon se
bemaar karegi aah o fughan
ruqsaar sakina ke zakhmi
aur naizon pe chadar dekhegi
sajjad ki aankhon...
bas safdar o mazhar khatm karo
roodad e sitam ko ye keh kar
sajjad ki aankhein band hui
aur bain yehi aaye lab par
mar jayegi gham se jab khwahar
bazaar ka manzar dekhegi
sajjad ki aankhon...