Kanz e Aza

Baba Dam Ghutta Hai

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Zulfiqar Ahmed. Lyrics in Roman Urdu.

veeran udaas ghar may sughra ki ye sada hai

tanhiyon may baba dum mera ghut raha hai

baba dum ghut'ta hai


rudaad apne gham ki ashkon se likh rahi hoo

tanha mai baithe baithe har dum ye sochti hoo

lene nahi tum aaye kya tumko hogaya hai

baba dum ghut'ta hai...


qasim ko dekhlun mai asghar ko dekhlun mai

choti bahan se mil loon akbar ko dekhlun mai

bemaar hoo mai baba meri yehi dawa hai

baba dum ghut'ta hai...


khaali pade hai hujre soone pade hai bistar

dasta hai mujhko baba ujda hua mera ghar

kya aap ki nazar may meri yehi saza hai

baba dum ghut'ta hai...


aajaye aap wapas ya phir mujhe bulaale

furqat may aapki hum ghut ghut ke mar na jaaye

wo shiddat e aalam hai dum lab pe aa gaya hai

baba dum ghut'ta hai...


pehli si rounaqe wo sab yaad aa rahi hai

bhai behan ki yaadein mujhko sata rahi hai

ek darde mustakhil hai ashkon ka silsila hai

baba dum ghut'ta hai...


bas may nahi hai mere ab intezaar karna

mere taraf se baba tum usko pyar karna

asghar ka muskurana nazron may phir raha hai

baba dum ghut'ta hai...


moula ye sher kab hai tukde hai ye jigar ke

yeh nauha teri beti sughra ko yaad karke

ahmed ne keh diya hai mohsin ne pad diya hai

baba dum ghut'ta hai...