Kanz e Aza

Bahot Akeli Hoo

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

ye bain karti thi sughra bahot akeli hoon

safar mein hai mera kunba bahot akeli hoon


koi bhi paas nahi hai jo khairiyat pooche

ke dil ka haal hai kaisa bahot akeli hoon

ye bain karti thi...


wo dukh sa dukh hai watan haan aisi hai tanhaai

koi nazar nahi aata bahot akeli hoon

ye bain karti thi...


guzaar deti hoon raaton ki raat aankhon mein

na koi neend na sapna bahot akeli hoon

ye bain karti thi...


koi hasi koi aahat na koi kilkaari

hai be-sada mera hujra bahot akeli hoon

ye bain karti thi...


buland hoti thi jis se rasool ki awaaz

na ab wo lab na wo lehja bahot akeli hoon

ye bain karti thi...


wo intezar hai dhundhla rahi hai beenayi

bhula na doon koi chehra bahot akeli hoon

ye bain karti thi...


koi nahi jo giroon mai to thaam le bad kar

kahan ho meri sakina bahot akeli hoon

ye bain karti thi...


jo toot jaaye ye dam bistar e alaalat par

uthega kaise janaza bahot akeli hoon

ye bain karti thi...


hamari sochon ke yasrab se nayyar o aamir

na mit sakega ye nauha bahot akeli hoon

ye bain karti thi...