zindan mein sajjad buka karte thay ro kar
ay sakina mai teri laash uthaun kaise
in layeeno se kafan tujhko dilaun kaise
teri mazloomi mujhe khoon rulaati hai behan
ban gaya khoon bhara kurta ghareebi mein kafan
hai bandhe haath teri qabr banaun kaise
ay sakina mai teri...
roz karti thi buka aao madad ko baba
sun ke faryaad teri koi nahi aata tha
kyun nahi aaya koi tujhko bataun kaise
ay sakina mai teri...
is ghareebi mein tujhe haye qaza aayi hai
jakda zanjeeron mein is waqt tera bhai hai
aakhri baar kaleje se lagaun kaise
ay sakina mai teri...
zakhmi kaano se tere khoon hai abhi tak jaari
amma bano pe isi gham mein ghashi hai taari
maa ki nazron se tera laasha chupaun kaise
ay sakina mai teri...
tauq gardan mein meri tere galay mein thi rasan
mai chala kaanto pe aur tu chali panjo pe behan
ay behan mai tere zakhmon ko bhulaun kaise
ay sakina mai teri...
tu jo roti thi to dil mera tadap jaata tha
rehm tujh par na koi ahle sitam khaata tha
in ghamon ko mai kaleje se mitaun kaise
ay sakina mai teri...
bhai ke haathon pe tha laasha behan ka mazhar
bain karte thay haram dekh ke gham ka manzar
nauha sajjad ka safdar mai sunaun kaise
ay sakina mai teri...