shion mein aaj kal ye qayamat ke roz hai
dunya se bu-turab ke ruqsat ke roz hai
yaaron saron ko peeto ye zarbat ke roz hai
rolo ke ye ali ki shahadat ke roz hai
aagaye ayyam e ali aagaye
momino matam karo sar peet ke
chaand bhi ramzan ka nauha kare
aagaye ayyam e ali aagaye
kaale libason mein hai ahle aza ki fughan
yaum e shahadat ki sab karte hai tayyariyan
yaad kare matami aap ki tanhaiyan
farsh e aza ghar mein bichane lage
aagaye ayyame ali...
taari abhi se hua hai shab e zarbat ka gham
koi padhe marsiya koi sajaye alam
tifl o jawan peer sab sunte hai nauhe baham
nauha suna aankh se aansu gire
aagaye ayyame ali...
majlisein ghar ghar bapa hogayi ya sayyadi
nikle juloos e aza aaj gali dar gali
aap ke gham mein hua saara jahan matami
aayi sada ye dar o deewar se
aagaye ayyame ali...
haye wo uneesween aayi jo gham ki sahar
ki bine muljim ne jab zulm ki hadh aap par
taygh e sitam chal gayi hogaya do paara sar
kehte thay jibreel bhi rote huwe
aagaye ayyame ali...
shabbar o shabbir jab aap ko le aaye ghar
bibiyan rone lagi seena o sar peet kar
koh e alam gir pada aaj to sadaat par
zainab o kulsoom ke ye bain thay
aagaye ayyame ali...
saamne taboot ka aagaya samaan jab
badne laga aur bhi seene mein ranj o taab
dil kahe be-saakhta haye ameer e arab
baat yehi khoon rulaye mujhe
aagaye ayyame ali...
mesum o mazhar bhi hai barsare farshe aza
aap ke ghar waalon ko dono ne pursa diya
aap ke taboot par humne ye nauha padha
dard mein doobe huwe ash'aar se
aagaye ayyame ali...