baba abhi mat jaaiye
mayyat pe zainab ne kaha
aankhein to apni kholiye
khamosh kyun hai boliye
kya hogaye humse khafa
baba abhi mat jaaiye...
mayyat uthi gar aap ki
baba yahin mar jaaungi
mujh mein nahi ab hausla
baba abhi mat jaaiye...
eid aa rahi hai baba jaan
kaise rahengi betiyan
veeran ghar ho jayega
baba abhi mat jaaiye...
kyun mere baazu choom ke
aise tadap kar roye thay
batlaye kya yaad aa gaya
baba abhi mat jaaiye...
bazaar kaise jaaungi
darbar kaise jaaungi
mei seekh loo chalna zara
baba abhi mat jaaiye...
jitne bhi hai kufi khade
pathar na maare ye mujhe
keh dijiye in se zara
baba abhi mat jaaiye...
aata nahi usko chain
bhoola nahi maa ko hussain
mar jayega bhai mera
baba abhi mat jaaiye...
ghabrayegi amma meri
ghusl o kafn ke baad bhi
khoon beh raha hai aap ka
baba abhi mat jaaiye...
parda chinega jab mera
aayenge milne karbala
ye waada kar lije zara
baba abhi mat jaaiye...
sajjad kaisi thi ghadi
roti thi khud binte ali
jis dam yateemon ne kaha
baba abhi mat jaaiye...