karbobala se laut ke aaya jo khaafla
qabr e nabi pe matam e shabbir jab hua
zainab ne baal khole nabi ke mazaar par
boli luta ke aayi hoo jangal mein saara ghar
aray nana
mai roti rahi mera ghar ujda tera deen bacha nana
lekin mere hussain ne waada nibha diya
hussain ya hussain ya hussain
nana tere shehr se chala zehra ka laadla
deen ke kaam aa gaya
salaar e khaafla ban gaya bemaar natawan
aur phir shaam aa gaya
raahon ke sangrezon ne pursa diya usay
haye nana shaam waalon ne baaghi kaha usay
ay deen ke baadshah tere is mazloom laal par
ye bhi ilzaam aa gaya
aur phir shaam aa gaya
nana tere shehr se...
ay nana baazuon mein jab baandhi gayi rasan
mein ro padi to naize se bole shah e zaman
ay behna gham saho har ghadi ummat ke waaste
sun ke aaram aa gaya
aur phir shaam aa gaya
nana tere shehr se...
nana bataun kaise mai kya ho gaye sitam
kufe ke dar pe jaise hi pahunche aseere gham
abid ke lab hilay dekh kar muslim ki laash ko
lab pe ash shaam aa gaya
aur phir shaam aa gaya
nana tere shehr se...
waan ek yahoodi rehta tha bahya tha jis ka naam
wo kalma padh ke chadarein le aaya khush kharaam
phir chadarein chini phir wohi be-hurmati hui
sabr phir kaam aa gaya
aur phir shaam aa gaya
nana tere shehr se...
kufe mein hum jo aagaye beparda nauha gar
kehta tha kufe waalon se ye shimre bad gohar
haakim ko do khabar laaya hoo naizon pe sab ke sar
lene in'aam aa gaya
aur phir shaam aa gaya
nana tere shehr se...
abid ko aake khooli ne gham ki khabar ye di
haakim ke saamne abhi peshi hai aap ki
nana ye saaneha aap ke sadaat ke liye
ban ke kohraam aa gaya
aur phir shaam aa gaya
nana tere shehr se...
beghairaton ke shehr mein sadaat aa gaye
pahunche jo dil ko thaam ke haakim ke saamne
ay nana us ghadi ek ek bibi ke zehn mein
tera zarghaam aa gaya
aur phir shaam aa gaya
nana tere shehr se...
wo baatein likh saka hi nahi mazhar abidi
jo keh rahi thi nana se beti batool ki
ay nana mere dard ka irfan hai jise
aansu na ruk sakenge kabhi us ki aankh se
jab shaam pahuncha khaafila
sadaat mein kohraam tha
pathar bhi lage sau zakhm mile
durre lage taane sahe
sab haste rahe hum rote rahe
bas haye hussaina kehte rahe
hussain ya hussain ya hussain