Kanz e Aza

Amma Tere Bete Ko

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Shumaila Erum. Lyrics in Roman Urdu.

amma tere bete ko sitamgaron ne maara

sajde may hua qatl bhara ghar tera pyasa


barchi ali akbar ke kaleje se nikaali

ashoor ko mayyat bhi akele hi uthayi

phir bhi sheh e deen par na kiya rehm zara sa

amma tere bete ko...


abbas ki laashe pe ye sarwar ne sada di

bhai teri ruqsat ne kamar tod di meri

jab so gaya haye mera ghazi labe darya

amma tere bete ko...


wo zulm o sitam shaah pe maidan may toote

zakhmon pe lage zakhm shenshah e huda ke

be jaan tha wo jab suye zameen zeen se aaya

amma tere bete ko...


khanjar liye jo shimr badha jaanib e sarwar

bachi ne kaha maar na zaalim na sitam kar

phat'ta tha jigar door se manzar jo ye dekha

amma tere bete ko...


jab gardan e sarwar pe rakha shimr ne khanjar

beti se kaha baba ne tehro na yahan par

sajde may layeen ne sar e shabbir ko kaata

amma tere bete ko...


nanha sa gala rakh ke shah e deen ke galay par

bachi ne kaha shimr chala hum pe bhi khanjar

beti ka laga saamne baba ke tamacha

amma tere bete ko...


khanjar jo chala sheh ke galay par sar e maqtal

har zarb se barpa hua mehshar sar e maqtal

sar peet ke nabiyon ne kiya shaah pa girya

amma tere bete ko...


sar kaat ke ye zulm kiya aur unho ne

pamaal kiya laasha e shabbir sumon se

aaza e shahe deen ko musalmano ne kaata

amma tere bete ko...


teeron ke lagay zakhm shahe deen ke badan par

zakhmi tha bahot naizon se tauheed ka mazhar

phir jalti hui rayt ko har zakhm pa daala

amma tere bete ko...


rehan o erum bas wo qayamat ki ghadi thi

jab qabr pa zehra ki ye zainab ne buka ki

be gor o kafan dasht may tha shaah ka laasha

amma tere bete ko...