Kanz e Aza

Ana Mazloom Hussain

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Ana Mazloom Hussain


Ana Mazloom Hussain Ana Mahroom Hussain

Main Hoon Mazloom Hussain Mein Hoon Mahroom Hussain


1) Barsare Dashte bala Jaane zehra ne kaha

Shimr Khanjar na chala khushk hai mera gala

Margaye Mere Jawaan Lutgaya mera jahan ×2

Dekh Baali pay meri Syeda karti hai bain


2) Mein Hu farzand e Nabi Gulshan E Haq ki kali

Jaan e zehra o Ali Hoon Ali ibne wali

Kya nahi tujhko Qabar Shimr Allah se dar ×2

Dekh ye zulm na kar Mai hoon Islam ke Zaain.


3)Mera Lashkar na raha Mera Akbar na Raha

Mera Asghar Na raha koi Yaawar Na raha

Mera Nasir hai khuda Mera sar kar na Judaa ×2

Arsh par Mere liye hai bapa Shewan O Shaen


4) Shimr Shaitaan hai tu Shimr Haiwaan hai tu

Nange adiyaan hai tu jehl ki jaan hai tu

Dushman e Deen E khuda Dushman e Rabe ullah x2

Behaya tu bhai bada mein hu Imaan ki zaen


5) Shimr Be deen bataa maine kya ki hai qataa

Jiski deta hai sazaa tu hai malo'on bada

Mai Hu Mazloom bohot Mai hu Maghmoom Bohat x2

Dekh is waqt zaraa Ambiya karte hai baen


6) Aai khaaliq ki sada aye Shahe Karbobala

Sar ko sajde mein jhuka sabr ki hadd to dikha

Sun ke khaaliq ki Sada Jaane zehra ne kaha x2

Teri aawaz suni agaya qalb ko chaen


7) Khanjar E shimr Chala katgaya shai ka galaa

Hogaya Hashr bapa Khoon e Shabbir Baha

Durr Sakina ke chine Qaid Sajjad Hue X2

Dekhiye Sabr e Hussain faatah e Badr o Hunain


8) Aye Mere rab e Ulaa mujh ko Qayam se mila

Jaa'n karu un pay fida aur shahadat ho aata

Hai Riyaz ab ye dua Jaye hum karbobala X2

Raoza e shaah pe hum yu'n kare shewano Shain


Ana Mazloom Hussain Ana Mahroom Hussain

Mai hu Mazloom Hussain Mai hu Mahroom Hussain