Kanz e Aza

Ana Zawaar

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

salam karbobala ya hussain ya maula

salam haye shaheedan e karbala e wafa

har ek zarre se matam ki aa rahi hai sada


ana zawwar e hussain ibne ali

arbaab hussain ibn e ali


chala hoo karbobala hai zaban pe bismillah

hai dil mein kalma e haq lailaha illallah

safar qubool kare ya hussain sarallah


hum log azadar e hussain arewallah

hum log wafadar e hussain arewallah

hum log tarafdar e hussain arewallah

ay aaqa mere ay maula mere

naukar hai sada zawwar tere

ana zawwar e hussain ibne ali...


salaam iska ke hum ko bula liya maula

salaam iska ke zaaer bana liya maula

salaam iska ke dil mein basa liya maula

hum ahle yaqeen ahle aza arewallah

hum fatema zehra ki dua arewallah

hum saare safeeran e aza arewallah

ay aaqa mere ay maula mere

naukar hai sada zawwar tere

ana zawwar e hussain ibne ali...


khuda ka shukr dayaar e hussain dekh liya

in aasuon ne mazaar e hussain dekh liya

naseeb mera wiqaar e hussain dekh liya

kya shaan teri karbobala arewallah

hai khaak teri khaak e shifa arewallah

jageer e alamdaar e wafa arewallah

ay aaqa mere ay maula mere

naukar hai sada zawwar tere

ana zawwar e hussain ibne ali...


arbaab hussain ibn e ali