andhere ban mein hai baba sakina kyun chali aayi
lahoo mein dooba hai laasha sakina kyun chali aayi
na ab neend aayegi tum ko na ab baba sulayenge
hai zakhmi teeron se seena sakina kyun chali aayi
andhere ban mein hai...
akeli tum bachi ho baap ki mayyat pe rone ko
yahan hai maut ka pehra sakina kyun chali aayi
andhere ban mein hai...
chacha se koi kehde tum abhi tak ran mein pyasi ho
unhi ke paas hai darya sakina kyun chali aayi
andhere ban mein hai...
phupi har samt tumko dekhti aur dhoondti hongi
jale qaime mein hai tanha sakina kyun chali aayi
andhere ban mein hai...
tumhare waaste jo khoon mein dooba hai darya par
tadap jaata hai wo laasha sakina kyun chali aayi
andhere ban mein hai...