Roney ki sadaaye aayi jab maasooma ghabraayi (2)
Mujhey leykar apney saath chalo mera shaam mey jee ghabraaye aawaaz lahad se aaye (2)
Ehsaan karo ek Behna par (2) meri qabr pey shimr na aaye aawaaz lahad se aaye
Mujhey leykar apney….. (2)
Kuch deyr sahii par rehneydo (2) apney haatho ke saaye aawaaz lahad se aaye
Mujhey leykar apney….. (2)
Kahi to rokar na dukhyaari (2) meri turbat let marjaaye aawaaz lahad se aaye
Mujhey leykar apney….. (2)
Meri itni umr nahi Bhayya (2) my ney jitney zulm uthaaye aawaaz lahad se aaye
Mujhey leykar apney….. (2)
Bujh pyaas gayii hai asgar ki (2) koi aakar ye batlaaye aawaaz lahad se aaye
Mujhey leykar apney….. (2)
Jo qoon hai terii aankho se (2) ab to paani banjaaye aawaaz lahad se aaye
Mujhey leykar apney….. (2)