Kanz e Aza

Alwida Ay Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Dayam Najafi. Lyrics in Roman Urdu.

alwida ay hussain


ay dashte nainawa ay shaah e karbala

ay kushta e jafa ay deen ki baqa

alwida alwida alwida alwida

alwida ay khooni kafan


laashe aqi pe kehte huwe ye behan chali

waada nibhane apna ghareebul watan chali

ay bekafan hussain tashna dahan hussain

dekho aseer hoke chali binte mustafa

alwida alwida alwida alwida

ay dashte nainawa...


utho ke taabe zabt ki quwwat nahi rahi

tumse bichad ke jeene ki hasrat nahi rahi

sultan e mashraqain quran ki zeb o zain

ruqsat ki aagayi hai ghadi aayat e khuda

alwida alwida alwida alwida

ay dashte nainawa...


ay bhai qaid e shaam nibhane chali ho mai

sang e sitam ka boj uthane chali hoo mai

tasveer e mustafa mehboob e kibriya

utho salaam e aakhri lelo ghareeb ka

alwida alwida alwida alwida

ay dashte nainawa...


karna dua ke pairon mein larzish kabhi na aaye

quwwat mein meri zarra barabar kami na aaye

zahra ke dilruba ay roohe murtaza

mai jaa rahi hoo uthke dua do mujhe zara

alwida alwida alwida alwida

ay dashte nainawa...


mai kya karoo ke baazu hai bhaiya bandhe huwe

badthe hi jaa rahe hai masayib ke silsile

dushwaar hai dagar mushkil hai rah guzar

har ek qadam pe hoga masayib ka saamna

alwida alwida alwida alwida

ay dashte nainawa...


rota hai tera haal pe charkhe kohan hussain

allah kya ghadi hai ke teri behan hussain

jaan kho nahi saki ro bhi nahi saki

ye daagh leke dil pe mai jaati hoo ba khuda

alwida alwida alwida alwida

ay dashte nainawa...


karwat to lo nigaahein to kholo shahe zaman

jumbish zara si lab ko to bolo shahe zaman

ay haami e safar yun tumko dekh kar

kaise kahe ki tumko ye ghamkhaar e benawa

alwida alwida alwida alwida

ay dashte nainawa...


aamaad e safar hai behan alwida hussain

jaati hai ab pahan ke rasan alwida hussain

zahra ke noor e ain qalb e ali ke chain

waada hai tumse waada nibhaungi mai sada

alwida alwida alwida alwida

ay dashte nainawa...


har gaam har maqaam pe ashke aza ke saath

ay bhai tujhse waada hai teri dua ke saath

abbas ki behan ay shaah e zulm e nan

ghurbat ka teri sab ko sunaungi marsiya

alwida alwida alwida alwida

ay dashte nainawa...


kaise kahoo ke toot chuka hai ye dil mera

akbar ke gham ne mujhko zaeefa bana diya

kya kya karoo ayan kaise karoo bayan

gham ne tere labon ko hai ye marsiya diya

alwida alwida alwida alwida

ay dashte nainawa...


dayam karo dua yehi yazdan ke roo baroo

mehfooz rakhna ay mere allah aabroo

hurmat ka hai sawaal ay rabbe zuljalaal

badta hi jaa raha hai masayib ka silisla

alwida alwida alwida alwida

ay dashte nainawa...