hussain girta hai ghode se aaiye amma
lage na zakhm khudara bachaiye amma
sadyein deta hai ro ro ke aap ko sarwar
mujhe galay se laga lijiye khareeb aa kar
khudara naaz mere phir uthaiye amma
hussain girta hai...
ye imtehan bhi shabbir dene jaate hai
zameen e garm pe zakhmon ke saath aate hai
sulagti rayt hai daaman bichaiye amma
hussain girta hai...
dua kare ke na mujh sa koi ghareeb howe
kahin se khatra agar aab ka naseeb howe
hamari tashna labi ko bujhaiye amma
hussain girta hai...
ye zauf kehta hai utha na jayega sarwar
karoo mai aap ki tazeem maadar e muztar
sahara de ke mujhe bas uthaiye amma
hussain girta hai...
sukoon mujhko milega yaqeen hai mujhko
jo zakhm hai wo silega yaqeen hai mujhko
jo ho sake to galay se lagaiye amma
hussain girta hai...
hai aap maa meri mai aap ka ghareeb hussain
qaza se hogaya is waqt to khareeb hussain
qaza ka waqt hai himmat bandhaiye amma
hussain girta hai...
mangaya tha kabhi kapda bahisht se mera
phir ek baar ye zehmat gawara ho lilaah
jina se mera kafan ab mangaiye amma
hussain girta hai...
yehi thi dayam o yazdan ghareeb ki hasrat
na dekh paye behan mere zakhm ki kasrat
rida se zakhm hamara chupaiye amma
hussain girta hai...