Kanz e Aza

Hussain Hussain Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

jangal pahaad karte hai nad-e-ali ali

mushkil ko meri hal karo mushkil kusha ali

hussain hussain hussain


ruksat ko ahlebait-e-nabi mein gaye imam

qadmon pe lotne lagi saydaniya tamam

wo shor al-firaaq ka wo yaas ke kalaam

bache bhi sar patak'te thay le le ke sheh ka naam

rote thay yun to lipte hue sab hussain se

lekin kaleje phat'te thay zainab ke bain se

hussain hussain hussain


us waqt tha ajab sheh-e-deen par hoojume yaas

dhalna wo do pahar ka wo aandhi wo loo o pyaas

laashe pade hue thay azeezo ke aas paas

rokar falak ko dekhte thay shaah-e-haq janas

ut'ta tha darde dil to qadam ladkhadate thay

farmake ya-ali-e-wali baith jaate thay

hussain hussain hussain


bhai ke sar ko chaati se lipta ke ye kaha

batlao kya irada hai ay mere mehlekha

daste adab ko jod ke bola wo bawafa

pyasi sakina marti hai ya shaah-e-karbala

guzre hai teen din yuhin is pusht pa par

gar izn ho to pani ko ja'un faraat par

hussain hussain hussain


yan chad chuke thay ghode pe abbas-e-haq shanas

aayi sada bhatiji ki sunte hi dar ke paas

boli ye mashq de ke sakina ba dard-o-yaas

qurban ammu jaan bujhado hamari pyaas

phat'ta hai dil atash se kaleja kabab hai

saqqayi kijiye ke ye kaare sawab hai

hussain hussain hussain


abbas ne kaha ke mera faqr hai ye kaam

bibi tumhare baap ka adna hai ye ghulam

di tumne aabru mujhe ay dukhtare imam

ab hogaya jahan mein bahishti hamara naam

kausar mai samjhu dosh pe gar mashke aab ho

tum bhi dua karo ke chacha kaamiyab ho

hussain hussain hussain


chaati tak usne pani ko dekha jo ek baar

ghode ka dil hua sifat-e-mauje beqarar

hasrat se moo phira ke nazar ki suye sawaar

bole ye baag jod ke abbas e naamdar

tu pile ay faraz ke bahot tishna-kaam hai

hum par to be-hussain ye pani haram hai

hussain hussain hussain


bouchaar yak-bayak hui teero ki hai ghazab

tayghe chali aqab se shareeron ki hai ghazab

ye shakl do jahan ke ameeron ki hai ghazab

bujhne na paayi pyaas sagheero ki hai ghazab

naize thay aur chand se pehlu diler ke

teero ne chaan dala safeene ko sher ke

hussain hussain hussain


shaane se yun ubhal ke baha khoon ke al-amaan

thirra ke jhoomne lage abbas-e-naujawan

machli ki tarha haath to reti pe tha tapan

lekin juda na hoti thi qabze se ungliyan

de-dast hogayi thi jo is tafdari ke saath

talwar bhi tadapti thi daste jari ke saath

hussain hussain hussain


raste mein ladkhadate thay jab zouf se qadam

akbar sambhaal lete thay baba ko dam-ba-dam

farmate thay tadap ke pisar se shahe-umam

jo haal ho baja hai ke bhai ka hai alam

baazu padak ke dilbare zehra ko le chalo

beta chacha ki laash pe baba ko le chalo

hussain hussain hussain


ghul pad gaya ke sheh ke alamdar haye haye

ay noore chasme hydare karaar haye haye

ay ibne fathima ke madadgaar haye haye

ay fauje sheh ke jaafare tayyaar haye haye

chote se haat rakh ke dile dard naak par

de maara sar ko bali sakina ne khaak par

hussain hussain hussain