hussain ibne ali ka gham dil e muztar mein rehta hai
bahar unwaan jaise ghar ka maalik ghar mein rehta hai
ghame shabbir aur hubbe ali hai zindagi apni
ye jazba dil mein rehta hai ye sauda sar mein rehta hai
hussain ibne ali ka gham...
sunega poochne waale taharat deeda e tar ki
ye aansu sayyeda ke gosha e chadar mein rehta hai
hussain ibne ali ka gham...
kisi surat ali ke dar pe rehne ki jagah milti
ye khursheed e ziya gustar isi chakkar mein rehta hai
hussain ibne ali ka gham...
nikalta hi nahi bughze ali dushman ke seene se
ye marhab doosra hai jo isi khyber mein rehta hai
hussain ibne ali ka gham...
faraari se na ye poocho ke aakhir bhaagta kyun hai
ye poocho bhagna tay hai to kyun lashkar mein rehta hai
hussain ibne ali ka gham...
kabhi pehlu mein dhoonda aur kabhi royi rabab uth kar
ye aalam raat bhar yaad e ali asghar mein rehta hai
hussain ibne ali ka gham...