kahan se laaun bhara ghar hussain haye hussain
pukari zainab e muztar hussain haye hussain
tumhare baad to ab jab bhi shaam aati hai
saron ko dar se patakne ki kaam aati hai
baraste rehte hai aankhon se ta-sehar sab ki
lahoo bhare hue manzar hussain haye hussain
pukari zainab e muztar...
palat ke aun o mohamed bhi ghar nahi aate
ab umme laila ko akbar nazar nahi aate
tadapti rehti hai qasim ki yaad mein farwa
rubab kehti hai asghar hussain haye hussain
pukari zainab e muztar...
guzur gaye hai kayi din na sabr hai na kharaar
tumhe bulaati hai raaton ko neend mein kayi baar
kabhi kabhi yahan hum sab se chup ke kone mein
sakina roti hai aksar hussain haye hussain
pukari zainab e muztar...
kate jo pani ki khaatir kareeb nehr e furaat
wohi to thay mere baazu wohi to thay mere haath
mila huwa hai dil o jaan mein zakhm ki soorat
hai jiska naam alam par hussain haye hussain
pukari zainab e muztar...
badan tha jism ali ka lahoo rasool ka tha
jigar hassan ka tha seene mein dil batool ka tha
wo jism chod ke aayi hoo tapte sehra mein
wo sar hai noke sina par hussain haye hussain
pukari zainab e muztar...
jo hum pe toot gaya aasman e ranj o mehan
qayaam qaid mein hota hai aur safar mein rasan
aseeri bebasi o bekasi ke aalam mein
mera salaam ho tum par hussain haye hussain
pukari zainab e muztar...