hai shame ghariban ki ye awaaz
ay saniye zehra ay saniye zehra
soona hua ran cha gayi maqtal mein udasi
sairaab hui khoon se jo khaak thi pyasi
gulshan hua pamaal har ek phool hai baasi
qaime ki nigehban hai mohamad ki nawasi
din chup gaya raat aagayi sunsaan hai sehra
ay saniye zehra ay saniye zehra
allah ke mehboob to jannat ko sidhare
jangal ki hawa sunti hai ab bain tumhare
madhosh huwe neend mein akaash ke taare
maare gaye abbas bhi darya ke kanare
ab unki jagah girde alam do tumhi pehra
ay saniye zehra ay saniye zehra
mazloom behan bhai ke laashe pe khadi hai
lab bandh rawan aankhon se ashkon ki jhadi hai
be-goro kafan laash biyaban mein padi hai
ek hashr ka maidan hai qayamat ki ghadi hai
jab bheeg gayi yaad to saraaab hua gehra
ay saniye zehra ay saniye zehra
bhai se kaho aake sakina ko sulado
qasim ko pukaro ali akbar ko sada do
abbas zara aake rida sar par udha do
beton se kaho aun ke mehmil mein bitha do
kal suboh ko jaana hai tumhe chod ke sehra
ay saniye zehra ay saniye zehra
jangal se sakina ko to le aayi hoo jaa kar
asghar ko bhi tum godh mein le aao utha kar
behlao kahani koi baqar ko suna kar
kyon laayi na tum khaak se akbar ko jaga kar
jangal bhi hai purhol andhera bhi hai gehra
ay saniye zehra ay saniye zehra
bibi se basad arz yahi kehta hai akhtar
ay noore dil e fatema lakhte dil e hyder
ay kooshtae gham sayyade mazloom ki khaahar
mai misle qadab hoon mujhe kar dijiye gowhar
tareekhe abad mein mera parcham ho sunehra
ay saniye zehra ay saniye zehra