Kanz e Aza

Aun o Mohamed Mere

A noha for Aon o Mohd (a.s), written by Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

zainab ke dulaare aun o mohamed

aun o mohamed mere aun o mohamed


boli zainab ye mere maan badhana bachon

surkh roo jang ke maidan se aana bachon

maut ko zeest ka unwaan banana bachon

pyase seh roz ke ho khoon may nahana bachon

aun o mohamed mere...


aaj ke din ke liye maine tumhe paala tha

ibne makhdooma e kaunain hai mushkil may ghira

aarzu aun o mohamed hai tumhari maa ki

dono ho jao mere bhai ke akbar pe fida

aun o mohamed mere...


zakhm maidan may tum khao to khush ho maadar

shaan ajdaad ki dikhlao to khush ho maadar

suye darya na utha kar kabhi nazrein dekho

pyase dunya se guzar jao to khush ho maadar

aun o mohamed mere...


jang is tarha karo ahl e wafa yaad kare

aise hamle ho jinhe shaami sada yaad kare

neemche khol ke lamhon may ulat do lashkar

daad abbas de aur sher e khuda yaad kare

aun o mohamed mere...


dum karun naad e ali sar ko jhuka lo bachon

saare armaan ladayi ke nikaalo bachon

haye sehra na saja sar pe tumhare lekin

maut ko aaj dulhan apni banalo bachon

aun o mohamed mere...


hukm zainab ka baja laaye dulaare bache

maut to haar gayi ran may na haare bache

dekh kar laashe pukari ye ali ki beti

surkh roo mai hui dunya se sidhare bache

aun o mohamed mere...


boli maa laashon se kyun neend hai aayi utho

maa ko batlao ladi kaisi ladayi utho

ba adab tum ho bahot phir ye ghazab hai kaisa

kab se baali pe khade hai mere bhai utho

aun o mohamed mere...


jaffri royi kahan bachon ko binte zehra

haa magar laut ke jab ghar may wo aayi dukhiya

khaali hujre jo nazar aaye to phir zabt hua

haat phailaye huwe ro ke ye zainab ne kaha

aun o mohamed mere...