zainab ne kaha noor e nazar aun o mohamed
tum kar gaye dunya se safar aun o mohamed
tum log bhi mamu pa fida hogaye ran mein
aayi hai ye maqtal se khabar aun o mohamed
zainab ne kaha...
deedar ki hasrat mein musalsal meri aankhein
dhoondegi tumhe shaam o sahar aun o mohamed
zainab ne kaha...
ye sochna maa baithi hai nazdeek tumhare
aajaye meri yaad agar aun o mohamed
zainab ne kaha...
tum ye na samajhna mai tumhe bhool gayi hoo
hai dil pa judaai ka asar aun o mohamed
zainab ne kaha...
ye soch ke kab khelte aajao mere paas
darwaze pa rehti hai nazar aun o mohamed
zainab ne kaha...
phir tum pa naye zulm ki yalghaar na hojaye
har waqt laga rehta hai darr aun o mohamed
zainab ne kaha...
jis waqt madine mein qadam rakhungi jaa kar
veeran nazar aayega ghar aun o mohamed
zainab ne kaha...
jis roz se khoya hai tumhe karbobala mein
daaman mera ashkon se hai tar aun o mohamed
zainab ne kaha...
mehsoos ye hota hai mujhe ay mere beta
tum laut ke aa jaaoge ghar aun o mohamed
zainab ne kaha...
jis waqt chali jaati hoo hujre mein tumhare
takleef se uth'ta nahi sar aun o mohamed
zainab ne kaha...
ishrat hai abhi tak yehi zainab ki sadayein
aajao ke phat'ta hai jigar aun o mohamed
zainab ne kaha...