Kanz e Aza

Azadari ka Mausam

A noha written by Mazhar Naqvi. Lyrics in Roman Urdu.

har ek jaanib udasi hai aza ki rooh pyasi hai

fazaon mein lahoo ki phir wohi manoos khushboo hai

bapa hai dhadkano mein tashnagane karbala ki pyas ka matam

na jaane phir kisay ye ruth meinassar ho

so ashkon ke areezo se alam ki chaon mein aakar

wafa ke ahed ki tajdeed karlije

ke ye mausam wafadari ka mausam hai

azadari ka mausam hai


sare farshe aza aao azadari ka mausam hai

lahoo aankhon se barsao azadari ka mausam hai


utho ishqe ali walon tumhe manzil bulaati hai

suno karbobala walon sada hal min ki aati hai

sare maqtal chale aao azadari ka mausam hai

sare farshe aza aao...


hateli pe dhara hai sar badan tayyar rakha hai

yahan har farde millat ne kafan tayyar rakha hai

adoo ko jaake batlao azadari ka mausam hai

sare farshe aza aao...


bayaad e zakhm mein mashkeeza abhi rota hai ye pani

abhi maujon ke seene mein chupi hai ek tughyani

ay dunya bhar ke darya'on azadari ka mausam hai

sare farshe aza aao...


kathin halaat hai aise ke ab jeena musibat hai

ghutan aisi hai ay humdam ke dum lena ghaneemat hai

alam ghazi ka lehrao azadari ka mausam hai

sare farshe aza aao...


binaye aale ahmed par khuda tumko jazayein de

nikharo aise auladein ke zehra bhi duayein de

hussaini khaum ki maa'on azadari ka mausam hai

sare farshe aza aao...


kaha shabbir ne maa ki tarha darbar jaogi

na dogi bad'dua tum jab sare bazaar jaogi

qasam zainab meri khao azadari ka mausam hai

sare farshe aza aao...


uthake nanhe haathon ko duayein deke jaati hai

sakina karbala walon ka pursa lene aati hai

azakhano ko mehkao azadari ka mausam hai

sare farshe aza aao...


yehi shaam e ghariban hai jale qaime hai ghurbat hai

gareban chaak kar daalo ke zainab par musibat hai

hawaon baal bikhrao azadari ka mausam hai

sare farshe aza aao...


kabhi rizwan hum hote hai jo halaat se muztar

hawa e parcham e abbas kehti hai suno mazhar

mere saaye mein aajao azadari ka mausam hai

sare farshe aza aao...